Monday, 15 July 2013

Jo Chale Tu Jaan Se Guzar Gaye..

Kabhi Gham ki Aag me jal uthe,

Kabhi Dagh-e-Dil ne jala dia,

Aay junoon-e-Ishq Bata Zara,

Mujhe kion Tamasha bana dia?

Gham-e-Ishq kitna ajeeb hay

Ye junoon se kitna Qareeb hay,

Kabhi Ashk palkon pe ruk gaye,

Kabhi poora darya baha dia,

Abhi ker rha hay wo ibtida,

Mera kah rha hay ye tajruba,

Usay zindagi ki hay aarzu,

Mujhay zindage ne mitaa dia,

Jo ruke tu koh e garan thay hum..!!!

Jo chalay tu jaan se guzar gaye ..!!!

Rah-e-yaar hum ne qadam qadam tujhe yaadgar bana dia..!!!




Jo chalay tu jaan se guzar gaye

No comments:

Post a Comment